How to Bookmark a Website in Google Chrome

Google chrome ham sab use karte hain or webdevelopment ho ya fir blogging or ya fir koi aisa kaam jisme hamne daily kafi sari research karni hoti hai or alag alag websites or tools ka use karna hota hai.

Aise me ham important tools or website ko kaise organise kare ki baar baar url na likhna pade.

Bas ek click karne se hi website open ho jaye or ham use kar sake.

Important Websites or Tools ko ham apne google chrome browser me book mark kar ke rakh sakte hain. yani ki hamari chrome browser ke top par hi ek bar ban jayegi jisme ham important website ka url save kar ke rakh lenge or vahin se jarurat padne par click kar ke use kar sakenge.

aisa karne se hame bar bar websites ke naam yaad nahi rakhne honge or na hi url type karne padenge. To abb me apko bta deta hun ki kaise ham Chrome browser me kisi website ko bookmark. karte hain.

How to Bookmark a Website

  • Kisi bhi website ko book mark save karne ke liye sabse pehle us website ko google chrome me open karna hai.
  • Website open karne ke baad jahan website ka url type kiya hai vahin right hand side me ek chota sa star bana hota hai. Apne us star par click karna hai.
  • Abb apke samne 2 options dikhenge (Add Bookmark) or (Add to reading list).
  • Apne Add Bookmark par click karna hai.
  • Iske baad apne agar is bookmark ko koi apni taraf se name dena hai to likh sakte hai. By default website ka name pehle se hi likha hota hai. Name likhne ke baad apne done par click karna hai.
  • Abb app dekhe upar ek bar bana hua dikhayi dega or usme jo bookmark apne save kiya tha vo bhi dikhega.
  • Theek aise hi app jitni chahe utni websites ko bookmark kar ke rakh sakte hain.
  • App chahe to websites ka alag alag folder bhi bna sakte hain.

How to make a Different Folder of Bookmarks

  • Agar apne ek hi category ki jyada websites ko bookmark kar liya hai to uska ek folder bnana jaruri hai.
  • Bookmarks ka folder banane ke liye chrome browser ke top-right side me three dots diye hote hain un dots par click karna hai.
  • Dots par click karne ke baad Bookmarks par cursor ko lekar ana hai. jaise hi cursor bookmarks par ayega uske samne ek or line open hogi usme bookmark manager par click karna hai.
  • Abb ek nayi tab me sare bookmarks open ho jayenge.
  • Is page par kahin bhi mouse se right click karenge to 2 options ayenge (Add new Bookmark) or (Add new Folder).
  • New Folder bnane ke liye Add new folder par click karna hai or Folder ka name likh kar save par click kar dena hai.
  • Bookmark ko naye folder me dalne ke liye isi page se drag kar ke new folder me daal sakte hain.
  • Or uske baad folder ko bhi drag kar ke upar bookmark tab me dal sakte hain.

Leave a Comment